Tu Kisi Aur Ki Jagir Hai Ae Jaan E Ghazal Haji Aslam Sabri Song Download


Play This Song
Song Lyrics
shaayar: Zafar Kaleem.
kuch To Majaburiyaan Rahi Hongi,
yun Koi Bevafa Nahi Hota,
ji Bahut Chahta He Sach Bolen,
kya Karen Hausala Nahi Hota.
apana Dil Bhi Tatol Kar Dekho,
faasla Bevajaah Nahi Hota.
ek Imaarat Lab-e-jamuna,
vahi Andaaz-o-adaa,
mughaliya Daur Kii Gammaz Nazar Aati He,
jab Bhi Mehataab Kii Halaki Si Kiran Padati He,
taaz Kii Shakl Main Mumtaz Nazar Aati He.
raat Teri Nahi, Raat Meri Nahi,
jisane Aankhon Main Kaati Vahi Paayegaa.
koi Kuch Bhi Kahe Or Main Chup Rahon,
ye Salika Mujhe Jane Kab Aayegaa.
kya Yun Hi Kal Bhi Mere Ghar Main Andhera Hoga,
raat Ke Baad Suna He Ki Savera Hoga
aaj Jo Lamaha Mila, Pyaar Kii Baaten Kar Le,
vakt Beraham He Kal Tera Na Meraa Hoga.
chaand Jaisaa Badan, Phool Sa Pairaham,
jane Kitne Dilo Pe Gazab Dhaayegaa,
aajkal Tu Qayaamat Se Kuch Kam Nahi,
jo Bhi Dekhegaa Divaana Ho Jaayegaa
lekin Jaan-emon,
tu Kisi Or Kii, Jaagir He I Jaan-e-gazal
log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
jo Mere Shahar Main Kuch Roshni Laaye Honge,
un Charaagon Ne Kai Ghar Bhi Jalaaye Honge
haath Unke Bhi Yakeenan Hue Honge Zakhmi,
jisane Rahon Main Meri Kaante Bichaaye Honge
ek Aashiq Ne Raat Pichhali Pahar,
apane Mehboob Ke Naa Aane Par,
kar Diye Taj Mahal Ke Tukade,
aab-e-jamuna Main Phenk Kar Pathar,
bhig Jaati Hai Jo Palake Kabhi Tanhaai Main,
kaanp Uthta Hoon Meraa Dard Koi Jaan Naa Le,
yun Bhi Darataa Hoon Ki Aise Main Achaanak Koi,
meri Aankhon Main Tumhe Dekh Ke Pahchaan Na Le.
ek Sabar He Iske Sivaa Kuch Paas Nahi He,
barabaad E Tamannaaon Kaa Ehsaas Nahi He,
kamazarf Nahi Hoon Ki Jo Main Maang Ke Pi Lun,
or Ye Bhi Nahi He Ki Mujhe Pyaas Nahi He.
har Sanmasaaz Ne Pathar Pe Taraasha Tujko,
par Wo Pighali Hui Raftaar Kahan Se Laata,
tere Pairon Main To Paazeb Pinha Di Lekin,
teri Paazeb Kii Jhankaar Kahan Se Laata?
chaandi Jaisaa Rang He Tera,
sone Jaise Bal.
ek Tu Hi Dhanwaan He Gori,
baaki Sab Kangaal Ki Gori Baaki Sab Kangaal
tu Kisi Or Kii, Jaagir He I Jaan-e-gazal
log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
soz Main Tu He, Saz Main Tu He,
mere Jeene Kaa Raaj Bhi Tu He,
sari Duniya Main Nur Tera He,
tere Bin Har Taraf Andhera He.
dil Tera Or Dhadkane Teri,
tu Hi Kul Kaaynaat He Meri,
ek Ek Jam Justaju Teri
ek Ek Saans Araju Teri
chaand Chhupataa He Shame Ke Maare
teri Rahon Kii Dhul Hai Taare,
ye Takhllul Nahi Haqikat He,
tera Kuuchaa Nahi He Jananath He
ek Musavvir Kaa Shaahakaar He Tu,
chasham E Naragis Kaa Intajaar He Tu
rang Bhi Tu He Raag Bhi Tu He,
phool Bhi Tu He Khaar Bhi Tu He.
zist Kii Vaardaat Kuch Bhi Nahi,
tu Nahi To Hayaat Kuch Bhi Nahi,
saans Len To Ek Bahaanaa He,
jindagaani Tera Thikaana He.
ye Shabaab Or Ye Jamaal Kahan,
is Jahaan Main Teri Misaal Kahan,
par Log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
tu Kisi Or Kii, Jaagir He I Jaan-e-gazal,
log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
aye Zafer Ke Shaur Kii Malikaa,
husn Kii May Naa Is Tarah Chhalkaa
the Pujari Tere Phiraaq-o-majaal
tere Shyda The Qatil-o-faraj,
tere Saudai Hai Samim-o-khumaar
uff Tera Husn, Uff Tera Singaar
tu Ki Khayyam Kii Rubaai He,
ek Chhalkati Hui Suraahi He
tu Ki Aatish Ke Dil Kaa Sholaa He,
or Nasir Ke Fan Kaa Zalava He
mirza Sauda Kaa Tu Qasida He,
or Yagaanaa Kaa Tu Qaaba He.
tu He Insha Ke Khaab Kii Tabir,
or He Mush-haqi Kaa Husn-e-zamir
tujhse Thi Tansen Kii Har Taan,
tujhpe Baiju Bhi Dil Se Tha Qurbaan,
tu He Gaalib Kaa Zuk-e-laa Phani
or Momin Kii Tarz-e-vazadaani
zuk Ke Fan Kii Aabru Tu He,
daag Ke Dil Kii Aarazu Tu He,
josh Ne Tujko Pyaar Se Puja
or Zigar Ne Tuje Salaam Kiya,
jitne Fankaar Benazir Hue,
teri Zulfon Ke Sab Aseer Hue,
par Log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
tu Kisi Or Kii, Jaagir He I Jaan-e-gazal
log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
tujko Allaah Ne Baksha He Jo Ye Husno Adaa,
pesh Karte Hai Tuje Sab Hi Mohabbat Kaa Kira
or Dilabavaalo Kii Duniya Main He Bas Tera Hi Raaj
teri Mastaana Kiraami Pe Bahaaren Qurbaan
teri Anchal Kii Parastaar He Mouj-e-tufaan,
tujhpe Hota He Kisi Hoor Ke Paikar Gumaan,
tere Jazbaat Kii Keemat Nahi Samajhegaa Koi,
tera Qirdaar-e-sharafat Nahi Samajhegaa Koi,
main Tere Pyaar Ko Rusvaa Nahi Hone Doongaa,
tere Saaye Ko Bhi Mailaa Nahi Hone Doongaa,
yun Sar-e-raah Tamaasha Nahi Hone Doongaa,
maan Bismil Kaa Kaha Apane Iraade Tu Badal,
log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
tu Kisi Or Kii, Jaagir He I Jaan-e-gazal,
log Tufaan Uthaa Lenge Mere Saath Na Chal
haya Adaa Ai, Gurur Aayaa Hizaab Aayaa,
naa Aana Tha Jise Wo Aa Gai Par Wo Nahi Ai,
...jam O Junun Sab He (ye Line Mujhe Kam Samaj Ai)
lo Wo Kaali Gata Bhi Aa Gai Par Wo Nahi Ai,
tumhaare Vaada-e-farha Se Jisaki Shaan Kaayam Thi,
lo Wo Subah E Qayaamat Aa Gai Par Wo Nahi Ai,
haya Adaa Ai, Gurur Aayaa Hizaab Aayaa,
hajaaron Aaften Le Kar Hasino Par Shawab Aayaa,
jo Tum Aaye To Neend Ai, Jo Neend Ai To Khwab Aayaa,
magar Teri Judaai Main Naa Neend Ai Naa Khwab Aayaa
kal Mila Vaqt To Julfen Teri Sulajhaa Loonga,
aaj Ulajhaa Hoon Zaraa Vakt Ko Sulajhane Main
yun To Pal Bhar Main Sulajh Jaati Heulajhi Julfen,
umr Cat Jaati He Par Vakt Ke Sulajhane Me,
koi Hanse To Tuje Gam Lage Hansee Na Lage,
tu Rose Royaa Kare Uth Ke Chaand Raaton Main,
khuda Kare Ki Tera Mere Bagaiyr Man Na Lage
jab Tumhe Janaa Hi Tha To Kyon Liya Aane Kaa Naam
jaan De Doongaa Jo Tuune Phir Liya Jane Kaa Naam
aye Meri Jaan E Gazal
aye Meri Jaan E Gazal
shaayar: Zafar Kaleem.